Haiku.Com
Huge Collection of Urdu/English HAIKU poetry....
Friday, September 9, 2011
Haiku 28
Nazaan hai khuud per
waqt e sahar gin gin ke shama
parwaanon k par
Haiku 27
Chuut gaya wo haath
Meri hatheli julti hay
meray dil ke saath
Haiku 26
Dil pe kharabi guzri
tum kya roothe abke baras
rut bhi khafa si guzri
Haiku 25
Weeran ho gaya shahar
reh gayee tapte raston par
ujri hoyee dopahar
Haiku 24
Duniyaa jeet gayee
hum dono ko maat hui
muddat beet gayee
Haiku 23
Younhi deeda-o-dil bhar aye
jese raat ke dhalte hi
shabnam zameen pe utar aye
Haiku 22
Paanii saa sansaar
bah'ta chal aur baRhta jaa
jeevan ke din chaar
Haiku 21
Koi to deta sath
sath chala tha aik jahan
hath mein ke kar hath
Tuesday, September 6, 2011
Haiku 20
Lutf tumhara aam
pyaare Mohammad sale Alla
Muujh per bhi Inaam
Haiku 19
Peham subha o shaam
Jin o iins o hoor o malak
bhaijen uun pe salam
Haiku 18
Us(s.w.t) pe wahee tamaam
khatm e nabuuat hai wo zaat
uus ka Mohammad naam
Haiku 17
Sab ki suunta hai
maano ya inkaar karo
Allah Allah hai
Haiku 16
Uss ki qudrat se
chiuuntee ko bhi rizq mile
patthar k neeche
Haiku 16
Rakhe ilm e ghaib
aisa aalim koi nahi
Allah hai Lareb
Haiku 15
Ik tanha yakta
La ilaaha Illalaah
Hai uus ko zeba
Haiku 14
Ilm ka yeh ruutba
Quul Rabbe Zidni Elmaa
Rab ne farmaya
Haiku 13
Hum saada se log
pal bhar mai apnaate hain
jeevan bhar ka rog
Haiku 12
Dil bhi kaisa hai
khwaishon ke dariya pi kar
bilkul pyasa hai
Haiku 11
Soye kabron may
muddat se jo rehtay thay
har dum khabron may
Haiku 10
Kismat se mat bhag
phool milay ya kaante hon
apne apne bhag
Haiku 09
Younhi deeda-o-dil bhar aye
jese raat ke dhalte hi
shabnam zameen pe utar aye
Haiku 08
Makrii ka ye jaal
phanda hai par baz aouqat
ban jata hai dhaal
Haiku 07
Dil ki kafiat
parh lo mere chehre par
dekho, poochho mat
Haiku 07
Lutf mai pinhaan qehar
teri meethi baaton mai
meetha meetha zehar
Haiku 06
Hum dono ke bhaag
aise chuupte phirte hain
jaise din aur raat
Haiku 05
Chuut gaya wo haath
Meri hatheli jalti hay
meray dil ke saath
Haiku 04
ishq ka hai ye kaar
warna kache matke per
kon uutra hai paar
Haiku 03
AnkhouN kee qandeel
Dil meiN kitnay banate hai
Darya, nad’di, jheel
Haiku 02
Tu ne kin ankhoon se dekha
manzar manzar
bol para!!!
Haiku 01
Aj Ravi Dy Kinary Beh Ke,
Tainu Boht Yad Kita,
Ty Pani Vich Wattay Suttay
Poet: Shayan BUtt
Newer Posts
Home
Subscribe to:
Posts (Atom)